Wo chadtey ye chaand mein haath dey
Wo pardey jo hatey to saathmein
Wo ghaav mein marham aur raatmein
Chadey jo nashey bhi lagey phir aamsey
Har zikar mere wo shabd si
Aai to bolu main khudko azaad hai
Aur baatein na pechida bilkul bhi
Koi bhi dekhey to badi asaan hai
Wo raahein thi khaali, the sundar nazaarey par sanaata sun wo raat thi
Main Khudmein he gum tha, kahika ka patanahi, sabko dhakaa dey shaanti
Tha khoya par khona imaan nahi, to madad ki kari pukaar nahi
Jabki main cheekra andarsey, ghutu main roz aur milri thi saas nahi
Har din tha kaed mein, nazarmein sabhi kuchh picture thi sattar key dashak ki
Main chalta raha chalta raha, dhong key sahi sab, badiya tha, kisi ko khabar nahi
Phir aaya tha din wo, dhyaan sey sunna, meri ek jagah pey nazar gayi
Dekha ek khilta fool, main khada hun jagah ek duniya palat gayi
Haan pehele to dekhra gor sey, dikhaa dey rang tu, unhey he chhodkey
Hai kabtak rehena iss mod pey, jeeti hai pehele he jo bhi daud hai
Wo huskey baaton ko taal ti, nikaaley dheersey bahar iss daur sey
Aur pata chala mujhe shaanti hoti hai alsi apno key shor mein