Hogaya kaabay mein roshan noor e haider hogaya
Budkada hota tha joh, allah ka ghar hogaya
Ghar ka malik agaya kaaba khushi say khill utha
Muskaraya iss qadar deewar may dar hogaya
Mudato(n) say joh buto(n) ki zulmato(n) mein tha ghira
Noor e yazda(n) dekh kar kaaba munawar hogaya
Nafs kay badlay khuda nay apni marzi baich dee
Istarhan hijrat ki shab souda barabar hogaya
Uss mujusaam phool ko samjhay gi dunya kia bhala
Iski khushboo paye jisnay woh qalandar hogaya
Malik e kosar ka beta aaj bhi maujood hai
Aur abtar kehnay waala khud hee abtar hogaya
Soorma lay kar alam jatay rahay atay rahay
Aamad e haider hoi aur fatha khaibar hogaya
Aagaya mola mera mushkil khushayi kay leay
Uskay ajanay say har ek maarka sir hogaya
Majlis e shabbir main tapka joh ankho(n) say meri
Ashk woh rutbay mein kosar kay barabar hogaya
Daagh e matam ki zia pheli joh meri qabr main
Ek charaghaa(n) saa meri marqad kay andar hogaya