Kabhi sochta hoon baith ke kiun zindagi azaab hai
Kabhi tolne jo baitha dekha gham behisaab hain
Gham woh jo dil mein chupaaye baitha hoon
Har tarah ki chotein main khaaye baitha hoon
Apne dil se main khudko mitaaye baitha hoon
Bas tujhe har kahin ab sajaaye baitha hoon
Jo guzre yahaan tujhpe guzre kabhi na
Kabhi behne dena, kabhi kabhi gham peena
Har roz zakhm khaana har roz unhein seena
Aasaan lagta hai tujhe meri tarah jeena
Kabhi khudko nichod, tu bhi nain ban ke dekh
Dard hi diya hai tu ne ab chain ban ke dekh
Aaja tere mere gham ka hisaab karte hain
Main tu ban jaata hoon, tu main ban ke dekh
Mere saath chal ke dekh, aa ke dekh mera haal tu
Bas aik baar aa, kar itna khayaal tu
Par paas kaise aao tum to door the hi nahi
Tum yaad kaise aao tum to bhoolte hi nahi
Mujhe waqt ki khabar bhi nahi rehti aaj kal
Yeh din yeh raat ab to beet'te hi nahi
Kaise ho bhala ilaaj, tujhse mile hue gham ka
Ke tujhse pehle bhi, hum to theek the hi nahi
Dekh main to jaa raha hoon toot'ta bikharta
Upar se jeeta andar se marta
Maan meri baat, ehsaan yeh kar ja
Ya to mera hoja, ya tu dil se utar ja
Aane de aane de, mere hisse mein gham tu
Jaane de jaane de, mere seene se dum tu
Aane de aane de, mere hisse mein gham tu
Jaane de jaane de, jaane de mera dum tu
Tu gaya hai to waapis bhi aa to sakta hai na
Nahi to bataa mujhe bhulaa to sakta hai na
Zindagi aur maut to Khuda ke hi hain haath
Par tu waqt se pehle marne se bachaa to sakta hai na
Gham likh ke maine kitne kaaghaz jalaaye
Phir woh jalte hue kaaghaz aansuon se bujhaaye
Tu ne kaha tha ke tujhe koi fikar nahi
To un kaaghazon ko haath tu lagaa to sakta hai na
Mujhe bhi dikhaa kitna sangdil hai tu
Dekhein tu bhi hai adhoora ya phir kaamil hai tu
Mujhe laga tha ke hua mujhe haasil tha tu
Ab hai jaana mere hosh ka qaatil tha tu
Meri achi buri yaad mein tu shaamil raha
Kiya tu yaad karne ke qaabil bhi tha
Tujhe dhoonda is shehar ki gali gali mein
Aaj mila hai to hai madd-e-muqaabil khada
Tujh pe umar yeh saari qurbaan kar di
Tere naam to maine meri jaan kar di
Tu mere liye sabse upar, tujhse upar bas Khuda hai
Woh de kar aazmaaye na de kar bhi aazmaaye
Kaun tujhe yeh bataaye, jise dhoondta phira hai
Saari zindagi, woh to tere saamne khada hai
Haan maana tu ne bhi thoda sa dard saha hai
Par kiska dard ziada hai yeh tujhe bhi pata hai
But its never too late, aaja aake tu manaale
Yeh deewaana tere liye abhi wahin pe ruka hai
Dekh haath barhaa hai, bas pakadna hai baaqi
Thaam le phir dekh intehaa tu wafaa ki
Aane de aane de, mere hisse mein gham tu
Jaane de jaane de, mere seene se dum tu
Aane de aane de, mere hisse mein gham tu
Jaane de jaane de, jaane de mera dum tu