Meri jaan mujhe tera ho jaane to de
Mujhko jeene ke thode bahaane to de
Tu ne dekh kar, andekha kar diya
Arey yeh kiya kar diya, muskuraane to de
Chal bhale mujhe muskuraane na de
Par khush hoon tujhe yehh dikhaane to de
Chaahe phir baad mein aag lagaa de
Yaadon ka kamra sajaane to de
Chal ab jaane bhi de, naaraaz hai kiun
Badle se tere andaaz hain kiun
Kiun hans ke tu baat ab karta nahi
Kiun sochta hai ke kiun main marta nahi
Haye kaash ke aisa naseeb bhi ho
Ke jismein tu mera habeeb hi ho
Tu hai itna door mujhse ke shayad
Ab maut bhi tujhse qareeb hi ho
Haye kaash ke aisa naseeb bhi ho
Tumhein samajhne ki tehzeeb bhi ho
Samajhte hi nahi tum baat kiun meri
Qasam se tum yaar ajeeb hi ho
Tum karte ho pyaar mujhe thoda sa
Phir chaahte nahi kiun mujhe khush dekhna
Kiun chaahte ho ke bas main rota rahoon
Arey tum kiya hi kar lo ge mujhko tabaah
Main khud ko khud yeh mazaa deta hoon
Har roz main khudko sazaa deta hoon
Woh bolein tu kaise likhta hai yeh verses
Main boloon bas lahu bahaa deta hoon
Kuch gham to hain mera hissa bane
Kuch gham hain jo main bhulaa deta hoon
Main thak chuka ab is zamaane ki sharton se
Sala na koii mashwaraa deta hoon
Cuz I'm done getting cancelled
Khud samajh jaayeinge bohot jald
Ke main unki zaroorat hoon, unko ghaneemat
They dream of what, main hoon woh haqeeqat
Aur unko abhi kuch bhi haasil nahi
Woh jo kehte the abhi tu qaabil nahi
Kaam tera theek hai, bas thoda aur ghor kar
Karta hai hustle tu, thodi si aur kar
Jaan chhodo bhai, just leave me alone
That guy you were jealous of is now gone
Main khud hi kaafi hoon khudko sataane ko
Rehne do mujhe in my own zone
Mere aansu hain meri kamaayi, jiski khushi hai qeemat
Aur jo chaahte nahi meri bhalaayi, unko lagoon aziyyat
Magar main to khudse bhi khush nahi bhai
Tum meinse tum jaisa aur kuchh nahi bhai
Bas kuch chotein khaayi jo yahaan mujhe laayi
Yehh kala mujhe viraasat mein nahi aayi
Bak bak nahi ki kisi doosre pe
Jo bhi ghaltiyan ki bas wohh apnaayi
Aur tum kiya mujhko mitaaoge yaar
Main to maang raha hoon khudse rihaayi