Arse se main khanabadosh
Arse se hi hoon main khamosh
Arse se done, hoon main behosh
I'm so lost, looking for hosh
Khud ko doon dosh ke tu na mila
Khud ko hi khud hi ab doon main saza
Kaisi mohabbat thi kaisa sila
Mila mujhe gham aur tujh ko maza
Tha woh tasawwur ke tu hai mera
Ab jaa ke jaana ke tu nahi mera
Chalo yehh maana ke tu nahi mera
Par lagta nahi dil kahin tere siwaa
Ab tu hi bata, ke karoon main kiya
Seene se saanson ko kar doon riha
Mar ke bhi dekh to loon ga magar
Kiya mar ke bhi hoon ga main tujh se judaa
Aaya tha milne tu khwaab mein kiun
Daakhil hua dil ke baab mein kiun
Tu ne hi waade kiye phir woh tode to uthe sawaal
Ab jawaab main doon
Kahaan ka insaaf yeh meri jaan
Tu ab jawaab to de meri jaan
Badle mein maang le jaan bhi meri to
Hans ke kahoon ga yehh le meri jaan
Mujh se mat pooch ke maine kamaaya kiya
Mujh se yeh pooch ke maine gawaaya kiya
Umar lagi thi jo karne mein haasil
Mujh se yeh pooch woh hua hai zaaya kiya
Mujh se mat pooch tu ab mera haal
Khud dekh le ke maine likha kiya gaaya kiya
Mujh se yeh pooch ke jitni wafaa di maine tujhe
Uske badle mein paaya kiya
Tere sawaal to bohot hain lekin tu mujhe bas itna bataa
Sab kuch hi lut gaya tujh pe agar to hai mere hisse mein phir aaya kiya
Dil mein tha kiya tere, mujh ko dikhaaya kiya
Peeche kiya bola aur muu pe sunaaya kiya
Kiye the waade tu ne behisaab
Aik bhi waada un mein se nibhaaya kiya
Jitna sataaya hai tu ne mujhe aur koii bhi itna sataa na saka
Saunp ke khud ko main tujh ko mukammal bhi tujh ko to apna bana na saka
Mere hisse mein wohh bhi to aa na saka, jo likha tha lakeeron mein hi kahin
Ya mumkin hai yeh bhi ke qismat meri hi meri hi qismat ab rahi nahi
Main tha khada wahin, tu ne dekha nahi
Ab to gham ke ilaawa kuch bacha nahi
Maine maana ke teri koii khata nahi
Par tu bhi yeh maan le to acha nahi
Ke qusoor mera bhi koii khaas nahi tha
Tu lakeeron mein tha magar paas nahi tha
Dil mein to duniya jahaan ke gham the
Chehra magar yeh udaas nahi tha
Ke koii padh na le mujh pe guzri hai kiya
Isi liye muskuraata raha
Ke tu meri wajah se badnaam na ho
Tera mere hi jaisa anjaam na ho
Tu na soche ke kaash aisa sila na hota
Kisi ko kisi se gila na hota
Aise hi jaana tha chhod ke agar
To nahi behtar ke tu kabhi mila na hota
Hota nahi mera haal bhi yun
Khud se main baitha ye baat karoon
Hona tha jo bhi woh to ho chuka
Bas aage se ab ehtiyaat karoon