Abhi na jaa
Abhi na jaa sohneyaa
Theher jaa naa zindagi me
Humdard tu bankar
Hai adhoora bin tere
Mere dil ka ye samundar
Baatein teri yaad aane lagi
Mere roothe se chehre ki tu hasi
Maine jitna hai chaha tujhko sanam
Maine utna na kisi ko chaha kabhi
Yun na jaanaa zindagi se
Mere dil ki tu dhadhkan
Haa na jaanaa zindagi se
Tujhko hai meri kasam
Abhi na jaa
Abhi na jaa sohneyaa
Abhi abhi to mile hi the
Jo tune faisla kar liya
Door jaane ka
Kudrat ko dosh du ya dosh
Haalaaton ko doon
Khud ke pyaar ko doon ya
Teri pyaari baaton ko doon
Tooti hui kashti jaisa
Dil ye mera dooba rehta
Tere pyaar ke samundar me baitha
Ashqon ko peeta
Milti thi rahat jo teri baahon me thi
Wo dhundhi chaaron or
Par mujhko naa mili
Na jaane kyu
Teri yaadein mujhse door nahi jaati
Kyun meri chahat tujhko nazar nahi aati
Maine kari kya khata thi
Mujhe ye to batade
Jo bin baat tune mujhko
Aisi saza di
Hoke tujhse judaa main reh na sakoonga
Teri judaai seh naa sakoonga
Chhoda jo tune akela mujhko
Teri shiqayat Rab se karoonga
Asaan nahi yun ishq karna aashiq bankar
Dhoondha maine na pyaar tera
Mujhko aaya nazar
Ashqon ne kia safar
Tujhko na meri hai Qadar
Ye silsila
Mere pyaar ka
Ye faslaa
Tu na bana
Abhi na jaa
Abhi na jaa sohneyaa