Main aur tu
Saath rahe jab tak
Kinare sang lehrein chalein
Main aur tu
Ek hi hain
Jaise phoolon mein rang ghule
Main aur tu
Sang chalein
Jaise dhaara mein nauka koi
Main aur tu
Juda na ho kabhi
Dua hai yeh meri
Tu din ki hai garmi
Main raaton ki narmi
Tere bin main hoon kahaan
Tu hai meri khwahish
Ya kudrat ki saazish
Tumsa na koi yahaan
Tu din ki hai garmi
Main raaton ki narmi
Tere bin main hoon kahaan
Tu hai meri khwahish
Ya kudrat ki saazish
Tumsa na koi yahaan
Tumse pehli baar mila
Maine socha na tha chahoonga itna
Kabhi Kabhi lagta mujhe hai
Kya yeh sach hai ya hai koi sapna
Tumse pehli baar mila
Maine socha na tha chahoonga itna
Kabhi Kabhi lagta mujhe hai
Kya yeh sach hai ya hai koi sapna
Tum bin thi meri jo zindagi
Jaise pyasa koi peene ko tarse
Tumko jo paaya hai toh zindagi
Ke rookhepan mein paani barse
Tu din ki hai garmi
Main raaton ki narmi
Tere bin main hoon kahaan
Tu hai meri khwahish
Ya kudrat ki saazish
Tumsa na koi yahaan
Tu taaron ki mehfil
Aur mein unki jhilmil
Dono alag toh nahin
Tu hai meri khwahish
Ya kudrat ki saazish
Tumsa na koi yahaan
Main aur tu
Saath rahe jab tak
Kinare sang lehrein chalein
Main aur tu
Ek hi hain
Jaise phoolon mein rang ghule
Main aur tu
Sang chalein
Jaise dhaara mein nauka koi
Main aur tu
Juda na ho kabhi
Dua hai yeh meri