Aaye hai
To fir
Jayenge, Pachtayenge
Magar
Mere jeevan aksh ko
Thoda sa waqt do
Waqt me thode
Se shabd ho
Un shabdon me thoda sa
Sach ho
Sach ho wo kadwa
Wish ka kalash ho
Daksh ho!
Sach beshak vipaksh ho
Fir bhi wo mere
Samaksh ho
Chubhe wo aise
Jaise toote sapne
Kya jo dil tode
Wo bhi hote apne?
Aaye hai
To fir
Jayenge, Pachtayenge
Magar
Jalte hai hum dheemi-dheemi aanch mein
Doobte hai hum bheegi-bheegi raat mein
Akele hi hote hai hum sath me
Nikharte hai hum sirf andhi barsat mein
Mere jeevan rath ko
Koi to path do
Path me thode
Pathar ho
Un pathar me thode
Shikhar ho
Shikhar ho wo unche
Sabke aruchikar ho
Fikar ho!
Sharir jaaye bhikar jo
Samajh lena gaya nikhar wo
Path ho kathin
Raaste katile
Kya wo hote meet
Jo path se dhakele?
Jale hum
Dheemi- dheemi
Aanch mein
Doobe hum
Bheegi- bhee
Raat mein
Hum aaye hai
Pachtayenge
Magar