Yeah
The Decmaa on a mic
KSKB (KUCH SAMAY KI BAAT)
Sunne likhne me farak
Masoom si meri shakal
Main likh raha hu tab se
Jab se tujhko meri na khabar
Badalni thi kahani
Toh utha di mene tab kalam
Jab hoti jeb khali
Tab khud se chal pade yeh kadam
Joh sapne jagte dekhta tha
Joh sapne mujhko sone na de
Joh sapne band room me jeeta tha
Un sapno ko aaj haqiqat bana de
Khwaab hai aise jaise bruj khalifa ke top se selfie le le
Baju me mudke dekhe toh yaha ke nale khule gaandh maare
Sarkar apni note kamati
Harr che mahine me road khudvate
Kaise bhul jau woh raatein
Jab papa mere ghar ko aate
Kehte agli date mili hai
Haq ki zameen hai, fir kyu char saal se
Papa mere daftar ke nahi par ghar se court ke chakkar laga rahe
Haan kaisa hai yeh nyay
Haan kaisa hai yeh kanoon
Haan mile bass do waqt ki roti
Haan main aur kuch na mangu
He upar wale dila de mujhko jho bhi mera
Juk gaya tere samne bachi yeh jaan kar di tere hawale
Bura waqt yeh joh aaya mera
Khule aasmaan me kaale badlon ka pera
Ujaal sa yeh chehra
Jispe chaya hai andhera
Joh bhi saha voh na tha aasan
Tu mat maan na haar
Kabu me rakh jazbaat
Yeh KUCH SAMAY KI BAAT
Joh udh jayega hawa ke sath
(Kabhi na kabhi toh hoga roshni ka vaas )
Dukh ka karan tha gandhi ki kadki
Teri khushi beta ussi me atki
Bhatki soch joh tha usse na apnaya
Khudke haathon se usse bhi gawaya
Sabar rakh KUCH SAMAY KI BAAT
De khudko waqt aur khel samjh jha
Zada sikh kar, tarqeeb aazma ke
Mehnat ke pankh tu phelate jha
Tu udte jha kala me rakh vishwas
Vilas se na hona tera vikas
Vilas ki chaah kare tera hi nash
Jhali joh ghass, li rahat ki saans
Zinda hu aaj, likhta naya kal yeh badlaav ka padhaav
Shabad mere gole jaldi hue aag
Tere ander ke ravan ka kar du main raakh, Bana main ram
Ruthe the mujhse
Abh yeh ruthe hai tujhpe
Jeete hum hai yuh ghutake
Aakhon se bahe lahu ki bunde
Jwala ander hi futthe
Tum pass mein na aana mere
Hum khud kabhi jalte nahi
Nafrat karne walo ki jaala dete
Maan me tha bahot kuch
Kehna tha par sabne kar diya chup
Toh kore Kagazon se kehta Raha
Hip hop se rishta mera gehra Bana
Jitne ki chaah hai toh koshishye kiye Hazar
Jaise pehle kadam ke liye gire sau baar
Marne ke pehle haar din ko hai jina
Fir raaste mein jane kyu na aajaye mera (bhura waqt)
Bura waqt yeh joh aaya Mera
Khule aasmaan me kaale badlon ka pehra
Ujaal sa yeh chehra
Jispe chahya hai andhera
Joh bhi saha woh na tha aasaan
Tu mat maan na haar
Kabu me rakh jazbaat
Yeh KUCH SAMAY KI BAAT
Joh udh jayega hawa ke sath
Yeah
Ache waqt ki tujhe kadar rahe
Tabhi tera bura waqt aaya
Jin sadko par din me shor rahe
Voh raaton me Khamosh nazar aaya
Tu bithe kal ki soche
Toh aaj kuch na kar paaya
Kal fir vohi bolega
Bhai mera toh bura waqt aaya
Check!