Gum sum hawaaein
Kehti hai mujhse
Jaana hai aaj kahin
Le zindagi jaaye
Mujhko jahaan bhi
Wahaan mujhko jaana nahin
Soona aasmaan
Yeh hai jaanta
Hai aur bhi manzilein
Ruk si gayee hai
Magar zindagi kyon
Nahin hai khabar kya karein
Yeh jo tanhayee hai
Kahaan se aayee hai
Mere sannaaton mein
Kaise samaayee hai
Jaane yeh kaisi anjaani aur khaali-khaali si raahein hain
Kahaan tak phaili huyee ulfat ki lambi-lambi baahein hain
Kaante hi kaante
Saath hai dikhte
Ab to hamesha mere
Naadaan dil bhi
Mera ho gaya hai
Gham aur khushi ke pare
Peekar jo aansu
Ki thi aarzoo
Ab woh haqeeqat kahaan
Kyon yeh hua sab
Mujhe tu bataa rab
Kaise main pahunchaa yahaan
Kya ho gaya hai yeh
Kya sochaa thaa maine
Pataa nahin mera
Yeh haal hua kaise
Jaane yeh kaisi anjaani aur khaali-khaali si raahein hain
Kahaan tak phaili huyee ulfat ki lambi-lambi baahein hain
Jisko dhoondta
Nikla yeh dil thaa
Ab to nazar mein woh hai
Ummeed phir se
Jagi hai aaj ke
Haan saher hone ko hai
Sab andheron se door
Na kabhi majboor
Naye sire se main
Dekhoon Khudah ki noor
Haan andheron se door
Na kabhi majboor
Naye sire se main
Dekhoon Khudah ki noor