Woh aaye, anjaane
Sang laaye, ek taraane
Jo goonjti jaa rahi hai chaaro dishaa
Iss shor ka hal nahi hai
Sehne ka bhi bal nahi hai
Ek pal jo haath thamle toh leti hai jaan
Par ho na khafa
Ghabra, na bewajah
Kathinayi se ab ladna hai tu himmat ko juta
Iss soch ko aazma
Aahat se dur jaa
Apne niwas mein baithe kar tu inka sarvanash
Behti rahegi hawaye paas mein
Sehma rahega har dil ek aas mein
Har dharm jaat ko laang kar saare
Mita denge mushkil sabhi
Jab aayenge woh ajnabee
Har woh pal jeele phir se
Khushiyaan the dhero jinme
Sukh hi jeene ka ek zariyaa
Apne gunn ko savarle
Har din unko nikharle
Lamho ko zaya kar na tu
Dhua utha hai, jung chida hai, sabko bata de
Rang chada hai, dushman naya hai, karle tayari
Zakhm mitade, marham lagake, dar ko bhagade
Honge hum hi kaamiyaab, sab ki yehi hai dua
Behti rahegi hawaye paas mein
Sehma rahega har dil ek aas mein
Sab dharm jaat ko laang kar saare
Mita denge mushkil sabhi
Jab aayenge who ajnabee