Andha likha hua kuch kaise pade
Manzil door bahut rasta kaise taeh kare
Rab se bhi koi gila ab kya hi kare
Khud ka wafadar nhi dusru se wafa kare
Likh deta hu bhoj saara aaj kal mein pano par
Ankhu mein hain ansu dard pada hai kandho par
21 ki umar mein seekh chuka baat yeh
Rishta na hota vo jo chalta hai kasmo par
Sachai ke safar mein kadwa lage gunt nhi
Payaso jo saadiyo se zaya karta boond nhi
Usko kaise pooju jiska dhikta hai wajood nhi
Kahe ka pahad neeche la jo sakta unth nhi
Sab dhundla par ankhu mein hai dhul nhi
Barf mein bhi dhikta kabhi kabhi bhai full nhi
Bura jis jis ne kiya maaf kiya sabko kab ka
Par dard jo mile muje sakta unhe bhul nhi
Itna sab jheela muje batao na kya dosh tha
Nashe mein mai bhand tha phr bhi muje hosh tha
Awaz na aai kisi ko chilla kar mein kehta raha
Koi toh sun leta mein nirdosh tha
Roone pe majboor zinda rehna ke khayal se
Dum ghute maut ke baad ke sawal se
Ankhein lal sabki koi duba nashe mein Kisi ki
Zimmedaariyon se kisi ki kisi ko khone ke khayal se
Kya kar raha kuch ata pta nhi
Ghum sambhalu ya phr bhoj samaj muje rata nhi
Ghis chuki hain ungliye likhai tab bhi chale jaari
Umeed mat rakho mujse khud ka bhi mein saga nhi