Main nasamajh hi sahi
Na mujhe samajhnay ki pari
Jab mere samnay tu khari
Kyun ki tere jaisa koi nahi
Jaisay koi pyari si jal pari
Tujhe dekh har koi jal rahi
Kesi machai hai khalbali
Jabke kia tou kuch bhi nahi
Main rawaana, tu manzil
Aur thikana, ab mushkil
Teri baatain, jaisay khanjar
You're like barbie, like rapunzel
Tha main gunda, ab andar
Laparwah sahi, par na buzdil
Yeh zamaana kahay kya kuch
Ab parwah na mujhe bilkul
Yeh kesa hai chakkar
Main sochun yeh aksar
Phir thak kar main dhoondun
Kahan marun ab takkar
Tujhe baandhun main kaskar
Tu na jaye kahin chal kar
Bas ab mere paas phas kar
Bas rahay tu dil ke andar
Jee huzoor mujhe manzoor hai
Sar ankhon par meri
Har baat main poori karu
Par meri bhi tou aj ek sun lijiye
Salakhon ke peechay hum kab tak rahain
Meri galti, main pagal
Shayad na apke qaabil
Kaisay hogi tu mayal
Ab tou ho ja tu qaayal
Kitna hottie tera style
Kare sabka dil ghayal
Dil churanay ki maahir
Tu shehzaadi, main shaayar
Tu naazuk si kali
Phool ki jaisi khushbu teri
Bhool ke bhi tujhe na kabhi
Torun na jaisay hai tu khali
Sabko hai milti ek zindagi
Tou beparwaah hi main sahi
Main bas na samajh hi sahi
Kyun ki tere jaisa koi nahi