Chalta bina chappal k soch unche parvat pe
Dukh sameta kambal me ansu nikle barsat me
Alarm nhi hai jorse utth ta ghar k shor se
Book me pankh mor k tere saare nuske chor k
Rahna akele sikhle na chalega koi sath me
Denge sirf tasalli fir lagja apne kaam me
Mujhe ky gadayega mai khud hi ek beej hu
Mujhe ky harayega jabh rahta a confuse tu
Hu mai sarfarosh dil me bhot saare chot
Sabhko sath leke chalta nahi rakhta manme khot
Chandi jaisa hu par rakhta chand k hi sapne
Jo aam k gulti the aaj sath nahi hai apne
Badi badi baate teri bolta apna kaam
Tu kismat kismat bolta mera mehnat ram baan
Bijli sarpe giri sochi degi mujhe maar
Sankat to bachpan se khada ra banke mai thor
Dabna nahi hai sochle
Dushman ko dabochle
Khudko tu nichodle
Bas thodasa aur khodle
Kuch log chor k jaane par sikhagaye
Kuch zindagi me reh kar sikha rahe
Kisi ki keemat karna hai jeete ji kar
Marne k baad nahi
Laksh inka saaf nahi koi inme aisi baat nahi
Shiksha ki koi jaat nahi rahunga abh shant nahi
Ye apna ghar bharte road saare sadte
Jamin b hadapte apan ek mek se ladte
Pyar me n jaan de maabaap ko samadhan de
Khudko tu zubaan de kathinaiyo ko tu chanle
Mila ky vo 4 log tu karte rah bas kaam roj
Khel hai ye shatranj ka bichadu ghamasaan soch
Bachpan mera bita kabhi pehna nahi tha joota
Maane mujhe bola abh banna hai tujhe cheetah
Dost dogla choota fata kapda mai nhi sita
Pahle se pata hai chappal marta piche chhita
Kon puraa bhogas yaha kispe saara focus
Mand ban gaya hai tu karraha yaha circus
Mujra hua band videshi khodraha surangg
Unki chize leraha tu yodha ladraha hai jung
Dabna nahi hai sochle
Dushman ko dabochle
Khudko tu nichodle
Bas thodasa aur khodle
Dont try hard to impress people
Just be real and attract them