Jana guzar Gaye zamane
Kamna hue tere bahane
Yaado Mai Teri hum tarane likh rahe hai
Dil se baate kar rahe hai
Kabhi aake humse Milo hai sunane
Hum reh gaye tere deewane. Oh Jane jana
Tu humko Mane ya na maane. Tera deewana
Baaton Mai Teri mere din ye kat rahe hai
Lamhe guzar rahe hai
Teri yaado ke sirhane Jana
Hum dhund rahe the mohabbat
Tum dhoondh te rahe bas fayeda
Jo pyar bas paiso pe pale
Wo saudebaazi hai fir pyar wo kahe ka
Is Dil ka tha kya kasoor
Ab Bina wajah ye to jaan se jayega
Par mera wo khuda gawah hai
Jo lene wala hai sab baaton ka jayeza
Ab gayega mann mera gayega
Tera kiya duniya ko batayega
Ik karma hai Jo sab pe ata hai
Tujhe bhi Teri aukat dikhayega
Milega tujhe bhi koi Aisa Jo raho pe tujhe bhi chhod ke jaega
Tab ankhe bhi nam hongi Teri aur tera hi akelapan tujhe khayega
Magar hoga tere koi saath nayi
Zinda rahega lekin
Hogi jeene mai wo baat nayi
Kabhi ashiqi pe hasoge na meri
Kyunki Pyar mai farebi
Tumhe Lage gi mazak nayi
Dil Tera bas pyar ko talashega
Ki milega isey bhi Tere marz ka ilaaj nayi
Yaad ayengi tumhe humari batein
Kyunki panno pe likhe ye mere lafz hongey khaak nayi
O bewafa ye
Tune Aisa kyu kiya
Dil lagana hi nahi tha to bata kyu na diya amh
Kyu khela jazbato se mere
Kya Zara bhi Aya tha taras nayi
Kya dekh ke rota mujhe
Tere patthar se Dil ko padta tha farak nayi
Tu khabo mai mere tha ata
Tha Aya kabhi lekin par ab nayi
Tu hota tha duniya meri
Teri duniya mai mujhe banana koi Ghar ab nayi
Farebi tha pyar wo tera
Teri baton aitbar mujhe ab nayi
Hai Pyar aur Jang mai jayez sab
Jab Tak ho apne darmiya koi sarhad nayi
Mai Karu wafa ab bas maula pe
Kyunki Hai uske ghinone koi maksad nayi
Wo marke bhi hasil hai mujhko
Tumhari tarah uski wafa bas kal tak nayi
Jana guzar Gaye zamane
Kamna hue tere bahane
Yaado Mai Teri hum tarane likh rahe hai
Dil se baate kar rahe hai
Kabhi aake humse Milo hai sunane
Hum reh gaye tere deewane. Oh Jane jana
Tu humko Mane ya na maane. Tera deewana
Baaton Mai Teri mere din ye kat rahe hai
Lamhe guzar rahe hai
Teri yaado ke sirhane Jana