Likhta hoon dard ye toh shayiri nahi hai
Gham ko chupaon kia zahir hi nahi hai
Kis ke dilason pe sambloon main ab
Mere saath khara mera toh ab saaya bhi nahi hai
Aur tu aya bhi nahi hain mere ashq ponchne
Main phir se akela kahin betha sochne
Ke kab tak yun gham main hi lipta rahoon ga
Kya qisse main tere hi likhta rahun ga
Ya gaata rahunga sunata rahoon ga
Adhoora kya tum bin main adha rahoon
Faisle tere ye sone na denge
Kya khud ko hi yun main satata rahoon ga
Neendon main khwabon main shaamil hua jo
Hardam hi uss se kya ghafil hua tha
Yaaron yehi mere gham ka khulasa
Muhafiz tha mera jo qaatil hua tha
Ye zaat e fanaa hain ham kya hi gila karein
Sochon ke qaidi kya khud ko riha karein
Na karein, nadaniyan ishq main
Itna bhi haqq nahi ke thori khata karein
Ainay main shakhs ye jo theek nahi hai
Iski ankhon main jeene ki umeed nahi hai
Kya ay sitamgar hai tujhko khabar
Teri baatein aj tak isse cheer rahi hain
Main ainay main dekhoon mujhe dard dikhta hai
Main shayr toh nahi ye mera dard likhta hai
Iss dour ke toh waise ajeeb hi asool hain
Kuch nahi paas toh ye dard bikta hai
Kabhi khud se bezaar hoke aina ham torr dein
Lab sile hue toh ham kaise kuch boldein
Maula meri madad kar main toot ke bikhar hai
Banda tera barson se ghut ghut ke margaya
Dil se dua hai kabhi ankhein teri nam na ho
Jage har raat jis se aisa koi gham na ho
Aik waada hai tujh se milun ga kabhi
Umeed yehi rahegi ke yaad tujhe ham na hon
Khamiyan bohut thin par wafadaar tha
Tu naik saaf dil aur main daghdar tha
Tha rooh posh hosh kabhi tha hi nahi
Dete ho saza kya main khatakaar tha
Dil bhar gya tumhara toh phir jaane do mujhe
Na pucho mera haal gham chupane do mujhe
Yun roz roz iqraar toh na karo pyaar ka
Aise toh na jeene ke bahane do mujhe
Shayr hoon main dard bhi bahane do mujhe
Aik baar pyaar bhi jatane do mujhe
Ham mitti se mitti main jaana dastoor hai
Toh baitho sirhane mar jaane do mujhe
Kaash main dekhta dil ki nadaani
Bhool paata kaash main woh baatein purani
Woh qisse jafa ke woh waade wafa ke
Jhoote thay saare , thi mehez kahani
Main aksar sochta insaan bhi kya cheez hai
Chala jaye toh sitam
Rahe jo umeed hai
Ye dil ki bechaini ko naam kya main dun
Ye aur kuch nahi bas teri hi kami hai
Ye jo geet sun rahe ho meri zindagi ka aks hai
Ye leh hai jo lafzon main gham ka ye raqs hai
Insaan hoon main , insaan hi ho tum
Insaan aur kya? Insaan be bas hai
Baste tum ab bhi in yaadon main kyun ho
Murjhaye jo phool kitabon main kyun ho
Jaane do ab ke main thak chuka hoon
Lakeeron main nahi toh haathon main kyun ho