Aya na khat tumhara na dia hai mujhe paigham kisi ne
Par zikar jo hua tumhara toh nikalti dua ke yaar tu theek hai
Ab jitna ye door hai chand hain utne hi faasle
Chaand sa maazi hai mera ye ispe bhi dagh hain isme bhi main aap hain
Isme bhi raaz hain tumhe bataun tum waqt nikal ke ao
Karo behaal na ao ye dhal gayi shaam tum raat ke saath main ao
Chalo tum khaab main ao giradiye jaam ab yaad main ao
Likhta hoon tumpe fasane tum lafzon se meri kitab main ao
Kehdo na khatam hai aj se mulaqat yaar ab nahi milenge
Keht hain waqt hai marham par marham se hi mujhe zakham mile hain
Toh kahan ho ab tak tum Dete ni dil pe kyu dastak tum
Seene main pathar hai shayd khoyi hui meri ho dhadkan tum
Jaise aik sargam tum
Jaise aik shayar ka har gham tum
Jaise hawa ho tum
Jaise badalta hue mausam tum
Jaise faza ho tum ya baad e bahar aik khizaan ho tum
Itna batado tum
Tera kuch bhi hoon main? Mera sab kuch tum
Toh dil laga ke kya mile ke adhi raat main
Aap hi se se iltija ke din mere sawaar dein
Tu nahi hai toh kya hai paas main
Khaali khaali haath hain ye kaali kaali raat hai
Kaal kaali raat hai aur baaki kaafi yaad bhi
Parh rha hoon main tumhe tum jaun ki kitab si
Ye tum ho saamne ya bas mera khayal
Bikharti chandni main lag rahi ho chaand si
Mere mutabiq mukamal nahi hoti hai zindagi kabhi bhi
Kisi ki
Thori si khushiyan hain thore se gham aur thori fiqar hai kisi ki
Hum bhi toh duniya ke log hain hamare bhi bohut se sog
Jaana ye dil ko laga ge ke jaanam mohabbat toh mehez aik rog hai
Tumne ye waada kiya tha ke hum dono honge na juda kabhi bhi
Jo tujhko mili na kabhi kya dhoondi hai tune woh khushi kahin bhi
Ab raabte munqata tu bata tune kya kia hai haasil
Kya mila hai mujhsa koi ya khud se mila hai tu akhir
Mujhse kya gila hai gaata hoon gaane
Mera jo gham woh qalam bahaye
Kya hi bataun kya hi sunaon
Khud pe hi sitam hain dhaye
Khud ka hua na kabhi tera bhi hona saka
Khud ko hain zakham lagaye ke tu kabhi aye aur marham lagaye