Jism ka katra katra
Watan ke kaam aaye
Khwahish hai Tirange se
Lipat kar hum so jaye
Sadiyon ka hai rishta apna
Ye dharti meri maata
Is mitti se bana hoon main
Anokha apna naata
Main is Maati ka yahi mera saathi
Ragon me apni lehraata Tiranga Dhadkan bhi sang gaati
Hum hai Fauji bharat ke hum Aatishbaazi
Kiya jo wada apni maa se
Main nibhaunga ladke is jahan se
Sarzami ka tilak lagaye
Aankhon ki nami chhupaye
Baandhe kafan apne sarse
Nikle hum Apne ghar se
Rukenge na na jhukenge hum
Farz ke aage mar mitenge hum
Hum hai Fauji bharat ke hum Aatishbaazi
Jaanbaz dil me sher ki dahaad lekar
Chale hain hum aisi hoonkar bharkar
Apne zubaan pe Bharat maa ki Jai hai
Jeet hamari hamesha tai hai
Takraye jo humse unke
Qismat me haar hai
Jhukna hame aata nhi
Har Qadam pe vaar hai
Hum hai Fauji bharat ke hum Aatishbaazi