"Bas ho gayaa ya ladaai aur baaki hai
Zinda hain toh judaai aur baaki hai
Peeth peeche hui toh saame bhi sahi
Uss zaalim ki bewafaai aur baaki hai
Ek baat ke das matlab bhi ho sakte hain
Panna bhar gayaa, siyaahi aur baaki hai
Wo ishq bechta toh main khareed bhi leta
Magar mere hisse ki kamaai aur baaki hai
Kis kis ne dhakela hai mujhe katghare me
Usne kahaa hai ki gawaahi aur baaki hai
Manzil saamne hai, raasta door hai
Ab ek janam ki rasaai aur baaki hai
Likhne ki koshish me baitha hu subah se
Magar raat ki padhaai aur baaki hai
Shayar ban gayaa, bina khwahish ke
Mashoor ho jaaun toh tabaahi aur baaki hai
Jo chaaho wo kahaan milta hai
Magar mil jaaye toh chinta hai
Mera ishq mujhse behtar hai
Tu mera nahi toh phir kiska hai
Tera asar kuch aisa hua mujhpar
Aaine me chehra tujhsa dikhta hai
Ek sawaal hai ke bataao ab kon
Tumhare saath taare ginta hai
Kon karta hai tumhari taareefein
Tumhari shiqayatein kon sunta hai
Iss badan ki maaya bhi ajeeb hai
Jitna baandho utna hi khulta hai
Iss veeraane me Ye khushbu kaisi
Lagta hai wo yahaan se guzra hai
Umr guzar gayi lekin tere baad jaana
Ke sooraj kis tarah ugta hai
Mujhse lad ke zamaane ko badhe wo
Zamaane se lad ke mujhme chhupta hai
Ye huliya, ye gham, ye sher,
Mera kuch nahi, sab uska hai
Mere badan pe usne aaj bhi nakhoon kar diya
Aaine me palat ke dekhoon toh sukoon kar diya
Duniya ki nazron se usko chhupaata rahaa aksar
Ab wo chhup gayi toh sabko maloom kar diya
Meri zaroorat pe wo mere khilaaf ho jaata hai
Uss berehem ka naam maine kanoon kar diya
Badi ajeeb baat hai, koi usey bataao
Dil mein khun hai aur dil ka hi khoon kar diya ?
"