Kyun ho raha mera ye haal
Kyun dheemi padd rahi hai meri chal
Kyun dhundli si ho gayi hai manzil
Waqt puraane yaad kare dil
Saath sabke hoke tanha hoon
Khud se hi bas keh paa raha hoon
Dastur e jahaan mein kuchh yun phasa
Ki 9 se 6 kaidi bann gaya hoon
Kaise koi khush rehta
Dard itne sehta hai
Bojh tale daba muskurata rehta hai
Zimmedariyan uthaake
Khud ke armaano ko gira ke
Sab sahi hai sabse kehta hai
Bas behtar kal ke intezaar mein
Mannatein mangi mandir mazaar mein
Gumsum si raaton mein
Din ke ujaale mein
Sochta apne shikast ke baare mein
Meri kahani sunega jahaan ye beh rahi hai jo ashkho ki dhaara mein
Khamosh Zindagani
Ankhon se behta Paani
Sannata kyun chha raha hai
Yun gumshuda hoon main
Manzil
Tera pata hai kya
Kyun main dhund nahi tujhe paa raha
Bas saamne aa mujhe baahon mein le
Zamane ko main nahi bha raha
Hoon kaise
Main ye seh raha
Koi aake bas ye puchh le
Ki tere mann mein hai kya chal raha
Aa dekh hai kitna zeher bhara
Waqt mera yun dhal raha
Mere Khuda ye kyun ho raha
Aake mujhe kar de riha
Iss jung se main hoon thak chuka
Khamosh Zindagani
Ankhon se behta Paani
Sannata kyun chha raha hai
Yun gumshuda hoon main
Aankhon mein jo the sapne
Wo ho sake na apne
Tanha khada hoon main unn raahon pe
Manzil na kyun dikhe