Akele jaagte
Aur har pal bhaagte
Ye khwab jo tere hain
Peechay na agay
Tanhae ko choom ke
Andhere se pooch
To sathi hai ya khami
Kehta hai ab bas tu doob
Aur meri
Is soch
Se ghis jae rooh
Dunya aik safar hai
Sath musafir nahi
Bekaar hansi hai
Koi hanse sath to sahi
Sab kuch faani hai
Ye maseeha ban gya
Tareeki se phir pooch
Mein doob kiun gya
(Doob gya)
Saans liay beghair tunay jeena seekh lia
Aur dil ke konay mein is noor ko thaam lia
Umeed ki lehr andhere ne kaha tehr
Par maazi taza hai
Aur dil pukarta hai
Ke meri
Is soch
Se ghis jae rooh
Dunya aik safar hai
Sath musafir nahi
Bekaar hansi hai
Koi hanse sath to sahi
Sab kuch faani hai
Ye maseeha ban gya
Tareeki se phir pooch
Mein doob kiun gya
Bachao