Kinaaro se mujho ab ulfat nahi
Jaise samundar ko fursat nahi
Behta hai vo usko beh jane de
Mujho kisi ki zaroorat nahi
Mai nahi karunga kisi ka intezaar
Chahe na ho mujhe
Phir se pyaar
Jaane se pehle
Mud jae vo ik dafa toh
Unko mana loon jo aansu hain
Aankhon se meri khafa
Ab vo aa bhi jae toh
Mera ho bhi jae toh
Mujhko mil bhi jae toh
Murjhaya dil mera khilta kahan
Inn gehri lehron me milta kahan
Sapnon ka ghar mera beh bhi gaya
Ab jo mai rehta toh rehta kahan
Mai nahi banunga
Chahat ka shikaar
Chahe na ho mujhe
Chalo phir vahin
Jahaan ho zindagi
Jahan ho raushni
Jaisi kahin nahi