Kuch bhi na sach dikhay
Khud se hi mar mitay
Khud se hi aksar main betha khafa
Kehta bhi main kya
Or sehta bhi main kya
Jab ayene main khudka hi aqs na dikha
Hoti tanhai jab koi na ho paas
Par bheer main bhi paya hai khudko tanha
Hoti ruswai jab aksar main paa ky khodeta
Jo paya ek hi dafa
Bachpan hi se thora gusse ka tezz main
Bachpanay main aksar ro deta tha
Bachpana gaya toh hua ehsaas ke
Bachpan hi main khudko khodena tha
Khair ab toh hochuka hoon bada main
Facing all issues akela khudi khada main
Log akay das jatay kehta nahi kuch
Kabhi rehta chup kabhi kabhi ro pada main
Dard hai in baaton main
Dard hai in raaton main
Dard ka toh saamna karna parega
Dost jitny sath khaday day one se aaj bhi
Bhai unka kabhi pichy nahi hatega
Dekhta hoon roz main badalty dost
Jo badlay na kabhi hain wohi toh khas
Rehta hoon close main unke bas dost
Jo khudse bhi rehna chahty mere sath
Aksar main bethta hun kamre main band akela or hoti qalam mere pas
Aksar main kehdeta qalam ko meri jo hoty hain mere dil main dafan raaz
Aksar main dekhta marty huay logon ko jinhen krti hai aaj duniya yaad
Aksar main sochta ke shayad mujhse hi hochuka hai mera Khuda naraaz
Kya yeh duniya nahi sochti ?
Kya yeh duniya nahi kosti ?
Kya yeh duniya hi qaatil ?
Kya yeh duniya hi baatil ?
Karta hoon koshish ke rahun main positive
Lekin na bola jata mujhse jhoot
Hoga jab samna shakhs se dekhunga ankhon mn
Chahy gaya mujhse rooth
Duniya ka kya hai yeh duniya toh chalti hai
Chahy tu chorh jaye sabko dude
Bolega Wasif jab sach
Toh saray bolenge na kuch yeh hojayenge mute
Haan badlay hain route logon ki wjah se
Par ab apny rastay par chalta rahunga
Badla na khud main abhi bhi wesa hi
Jesa main kuch saal pehle bhi tha