Yaadon ka Saudagar
Pal ko laaya hu paemaano mein
Almaari ne chipaye
Panne dher saare
Khatte meethe pal ko hai
Jama kia tasveero mein
Note bhi satake filo mein Rakha hain kabse
Kitni toh
Kitabein
Bas yuhi
Padi rahi
Kahania aur raastey unmein hi reh gaye
Kitni toh
Baatein Hai
Mujse judi hui abhi
Mili muje na jaane saalon baad kaise
Abhi bhi khat
Chuppaane mein hu mahir
Ya gharwaalon ne Jaan ke Kia undekha mujko
Kuch cheezein aaj bhi padi waise hi
Jaise ki
Khilone kaid baxo mein. (Kayi saare)
Diwali ke Uphaar anek (kaafi zyada)
Gehne jo the maa ke pass
Aur teri jigyasa
Itar ki khushbu milti
Purani chithio se
Kapdo mein sparsh
Chupe Noton ka
Almaari Raaz ki rakhwaali
Almaari Raaz rakhti saari
Itar ki khushbu milti
Purani chithio se
Kapdo mein sparsh
Chupe Noton ka
Almaari Raaz ki rakhwaali
Almaari Raaz rakhti saari
Pal mein raja ban
Praja Ko sardi Mukt kardu
Aslaan Desh mein swagat sabhi ka/
Pakdo mera haath
Aur chalo saath
Khule dwaar
Rakha pair
Kare Aasman ki saer
Baitha upar
Chingari bhadkake
Antariksh ka lu nazara
Aankhein band kar
Roku in aansuon Ko
Hai Pasijta ye dil
Isko rokna mushkil
Jab thi kabil banne ki jaldi
Kapde papa ke pehne
Unmein hu samaya
Par unsa kabil naa abtak
Mai wo bacha
Jiske Kapdo
Ko Naa becha
Bartno ke vaaste
Itihaas se Naa kum wo
Medal aur sarahna jama jo
Kholunga baxo Ko
Diwali ke Uphaar bhi
Badlenge gehne maa ke
Amar jigyasa teri
Amar pranam tujko
Itar hai taaza-taaza
Naya Khat aaya uska
Diary hai bhar chuki
Shayri sab pahunch chuki
Almari Raaz ki rakhwaali
Almari Raaz rakhti saari