Mujhe jaana hai wahaan
Armaano ke jahaan
Manzil hai saamne
Thakna kyun abb yahan
Beqaraari sataaye mujhe
Harr pal yeh rulaye mujhe
Chala main Wahan
Mujhe jaana hai wahaan
Armaano ke jahaan
Manzil hai saamne
Thakna kyun abb yahan
Beqaraari sataaye mujhe
Harr pal yeh rulaye mujhe
Chala main Wahan
Ik nami si hai in aankhon mein
Dabdabi si hai in baaton mein
Thoda darta hoon
Sach yeh main kehta hoon
Kab se baitha
Yahaan
Pooche saara samaaa
Kya nazm daastan
Chala Tu kahan
Aatishi the sapne saare
Khwaab mein mujhse bhi aage
Jaane reh jaayein hum kahaan
Neendein toh thi gehri pehle
Abb zehen mein Kuch na thehere
Kashti hui apni ranwaan
Aatishi the sapne saare
Khwaab mein mujhse bhi aage
Jaane reh jaayein hum kahaan
Neendein toh thi gehri pehle
Abb zehen mein Kuch na thehere
Kashti hui apni ranwaan
Dekhega yeh jahaan
Sanware Jo kaaravan
Chala main wahan
Mujhe jaana hai wahaan
Armaano ke jahaan
Manzil hai saamne
Thakna kyun abb yahan
Beqaraari sataaye mujhe
Harr pal yeh rulaye mujhe
Chala main Wahan